Big Guide Hindi

Blogging, SEO Guide Hindi Me!

TwitterFacebookGoogle PlusLinkedInVideosRSSEmail
  • BLOGGING
    • BLOGGER
    • WORDPRESS
    • WordPress Plugins
  • YOUTUBE
  • SEO
  • MAKE MONEY
    • ADSENSE
    • AFFILIATE MARKETING
  • MORE
    • INTERNET
    • SOCIAL MEDIA
    • MOTIVATIONAL STORIES
  • Toggle Mobile Menu
  • Back to Top

By : Deepak Singh Published : 08 July 2018

Yoast Seo Plugin Settings Kaise Kare Puri Jankari

WordPress yoast seo plugin har wordpress blog seo ke liye bahut important plugins hai. yoast seo plugin se ham wordpress blog ko full seo friendly bana sakte hai. wordpress seo me all in one plugin and yoast seo plugin bahut jyada use kiya jate hai. par kai naye wordpress users ko pata nahi hota hai ki apne blog ki full seo settings kaise karte hai. isliye mai aaj is post me bata raha hu. wordpress yoast seo plugins ko setup kaise karte hai. aur wordpress blog ki full seo kaise karte hai.

Yoast WordPress SEO Plugin Ki Setting Kaise Kare1

Table of Contents

  • 1 Yoast seo plugins features !
  • 2 WordPress yoast seo plugins setup kaise kare complete guide

Yoast seo plugins features !

Yoast seo plugines me kai sare aise features hai jisse ham apne blog ki full seo kar sakte hai.

Yoast seo wordpress pluging install karne se pahile hame yah janlena chahiye ki usme hame kya kya features milege.

1] Yoast plugin ke dashboard me hame webmaster tools, security etc jaise features mil jate hai.

2] Apne site me post ya pages me SEO friendly title, meta descriptions add kar sakte hai

3] Yoast SEO plugin title par autometic stop word ko remove kar deti hai. jisse hamara title puri trah se SEO optimized ho jata hai.

4] sabhi webmaster tools google, bing, yendex, se site ko verify kar sakte hai.

5] post, pages ke liye meta robot index / noindex set kar sakte hai.

6] readability features se apne post ko readable aur scannable bana sakte hai. is features ko post likhte samay side me dekh sakte hai.

7] isse ham xml sitemap create kar sakte hai.

8] robot.txt, aur .htaccess file ko edite kar sakte hai.

9] wordpress site ko google search console se direct connect kar sakte hai.

10] apne post ko social media friendly bana sakte hai.

11] Google, bing, yandex jaise search engines me apni site submit kar sakte hai

12] Website me advance security add kar sakte hai.

13] Pages ki advance settings kar sakte hai.

14] Website name aur company ki details add kar sakte hai.

15] Title, meta tag add kar sakte hai.

16] Title ko seo friendly bana sakte hai.

17] Readability analysis or keywords analysis kar sakte hai.

18] Automatic xml sitemap generate kar sakte hai.

19] Breadcrumbs settings kar sakte hai.

20] Advance permalinks bana sakte hai.

Aur bhi kai featurs hai jise ham yoast seo plugins ke dwara kar sakte hai.

Is trah ke cool features aapko dusre kisi wordpress seo plugings me nahi milege agar mile bhi to vo plugines ko kharidna padta hai. par hame isme kai sare pro features bhi free me mil jate hai.

WordPress yoast seo plugins setup kaise kare complete guide

Ab ham yoast seo plugins ko step by step setup karege. Agar aap pahile se seo ke liye koi plugins use kar rahe ho to use pahile uninstall kar dijiye.

Step 1

Sabse pahile apna wordpress dashboard open kijiye. isme left side me kai opations hoge unmese ek plugines ka bhi opation hoga. uspar click karke add new par click karna hai.

Step 2

Ab add plugins ka page open hoga isme aapko search box me yoast seo search karna hai. aur use install karke activate karna hai.

install and activate yoast seo plugin

Step 3

Yoast seo Plugin ko activate karne ke baad leftside me opations me SEO ka new opations add ho jayega. yost settings karne ke liye aapko SEO par click karna hai.

yoast seo setting

Step 4

General – Yoast SEO

*Dashboard

Yaha par hame kuch nahi karna hai.

*Features

SEO analysis

Yah opation hame SEO suggestion show karta hai. isliye ise on rakhiye.

Readability analysis

Yah opation paragraphs ko analysis karta hai. is opation ko off rakhiye.

Cornerstone content

Yah opation most valuable content mark karta hai. is opation ko bhi off rahne dijiye.

Text link counter

Post / Pages ke text links count karta hai. is opation ko bhi off rakhiye.

XML Sitemap

Xml sitemap generate karta hai. is opation ko on rakhiye.

Ryte integration

Yah opation hamare site ki search visibility check karta hai. is opation ko off rakhiye.

Admin bar menu

Top navigation me Yoast SEO menu show karta hai. is opation ko bhi off rakhiye.

Security : no advanced settings for authors

Ise on karne se authors post ko search engine se remove nahi kar sakta hai. is opation ko on rakhiye.

Sabhi settings karne ke baad aapko save changes par click karna hai.

yoast seo plugin settings features tabyoast seo settings features tab

* Webmaster tools

Yaha par hame apne google, bing, yandex ke verification code ko add karna hai.

yoast so webmaster tools settings - bigguidehindi

Search Appearance – Yoast SEO

* General

Title separator

Agar aap title and site name ke biche me koi icone show karna chahate ho to ise yaha se select kar sakte hai.

Title

Yaha aapko apni site ka title add karna hai.

Meta description

Yaha par aap apne blog ke bare me 2-4 line me likhiye.

Company or person

Aapne site jiske liye devlope ki hai. vo likhe.

Company name

Yaha par apne company ya website ka naam add kariye.

Company logo

Yaha par apne company ya website ka logo add kariye.

Search Appearance - Yoast SEO general tab settings - bigguidehindi

sabhi Settings karne ke baad save changes par click kar dijiye.

* Content type

Yah Yoast SEO ka important part hai. isme ham set kar sakte hai ki, search engines me hamari post, pages, images, media files kaise show honi chahiye.

Show post in search result

Is opation ko on rakhiye. Isse hamari post search engines me show hogi.

Post title template

Yaha aapko %%title%% set karna hai. isse search engines me post ka sirf title show hoga.

Post meta description template

Meta description template box me %%excerpt%% daliye.

Date in snippet preview

Agar aap apni post date search engines me show karna chahate ho, to show select kijiye.

Yoast SEO Metabox

Yoast SEO analysis ke liye show par click kijiye.

Page title template

Yaha aapko %%title%% set karna hai. isse search engines me page ka sirf title show hoga.

Page meta description template

Meta description template box me %%excerpt%% daliye.

Date in snippet preview

Agar aap apni page date search engines me show karna chahate ho, to show select kijiye

Yoast SEO Metabox

Agar aap chahe to, page ke liye yost SEO metabox on kar sakte ho.

Search Appearance - Yoast SEO content type tab settings - bigguidehindiSearch Appearance - Yoast SEO content type tab settings - bigguidehindi.

settings karne ke baad save settings par click kar dijiye.

* Media

Ham jab bhi wordpress me kisi media file jaise images, videos, ko upload karte hai to,wordpress automatically uske liye attachment page url create kar deta hai. jo sahi nahi hota hai. to aap attachment urls ko usi post par redirect kar dijiye. Jisme vah images, videos, add kiye gaye hai. isliye ise yes kariye.

Search Appearance - Yoast SEO media tab settings - bigguidehindi

Settings karne par save changes par click kar dijiye.

* Taxonomies

Categories ko index karne ke liye, aur tags and post formats ko noindex karne ke liye. Aap is opation ka use kar sakte ho.

Show categories in search result

Agar aap apne categories ko search result me dikhana chahate ho, to Ise YES kariye

Yoast SEO metabox

Ise show hi rahne dijiye.

Show tag in search result

Agar aapko apne tag search result me dikhana hai to, ise yes kar dijiye. Nahi to ise no par hi rahne dijiye.

Yoast SEO metabox

Ise hide hi rahne dijiye.

Format

Is opation ko bhi Disabled hi rahne dijiye.

Category URLs

remove the categories prefix

agar aap apne urls example.com/category/categoryname/ type se category urls rakhna hai. to keep select kariye. Agar aapko example.com/category/ is trah se category urls rakhna hai. to ise remove kar dijiye.

Search Appearance - Yoast SEO toxonomies tab settings - bigguidehindi - CopySearch Appearance - Yoast SEO toxonomies tab settings - bigguidehindi. - Copy

Settings karne par save changes par click kar dijiye.

* Archives

Author archive aur Date archive dono ko disabled kar dijiye. kyoki inse

Duplicate content ki problem hoti hai.

Search Appearance - Yoast SEO archives tab settings - bigguidehindi

Settings karne par save changes par click kar dijiye.

* Breadcrumbs

Agar aap chaho to ise enable kar sakte ho, nahi to ise disabled hi rahne dijiye.

Search Appearance - Yoast SEO Breadcrumbs tab settings - bigguidehindi

Settings karne par save changes par click kar dijiye.

* RSS

Search Appearance - Yoast SEO rss tab settings - bigguidehindi

Yaha par hame koi setting nahi karni hai.

Search consol – Yoast SEO

Agar aap chahe to Yoast SEO plugin ko google webmaster tools se connect kar sakte ho. aur sabhi errors ko yahi se thik kar sakte ho.

Ise connect karneke liye Get Google Authorization par click kariye

Ab aapko Yoast se jo code milega use Enter your google Authorization and press the Authenticate button ke box me add kariye. Aur Authenticate par click kar dijiye.

Jisse google webmaster Yoast SEO plugin se connect ho jayega.

Search Console - Yoast SEO setting kare bigguidehindi

Social – Yoast SEO

* Accounts

Is  opation se ham hamare social media profiles ko search engines me show kar sakte hai. iske liye aapko isme apne social media profile links and username dalna hai.

Social - Yoast SEO account tab settings - bigguidehindi

Settings karne par save changes par click kar dena hai.

* Facebook

Yaha se aap facebook open graph meta data features ko enable kariye. Taki  post ko facebook par share kare to uska look dikhne me accha ho. aur user friendly ho.

Add open graph meta data

Ise enable kar dijiye

Image URLs

Yaha par apni site ya company logo upload kijiye.

Facebook admin add kijiye.

Aapki facebook app id enter kijiye

Social - Yoast SEO facebook tab settings bigguidehindi

Settings karne par save changes par click kar dena hai.

* Twitter

Jab bhi aapki post twitter par share ho, to uska look achha dikhe isliye hame twitter card meta data ko enable karna chahiye.

twitter card meta data

ise enable kijiye

the default card type of the use

yaha par summary with larg image ko select kijiye.

Social - Yoast SEO twitter tab settings bigguidehindi

Settings karne par save changes par click kar dena hai.

* Pinterest

Aap google, bing, yandex ke alawa pinterest me bhi apne website ko submit kar sakte hai.

Pinterest confirmation

Yaha par aapko pinterest verification code add karna hai.

Social - Yoast SEO pinterest tab settings bigguidehindi

Settings karne par save changes par click kar dena hai.

* Google+

Agar aapne google+ par business page create kiya hai. to use bhi aap yaha par dal sakte ho.

Google publisher page

Yaha par apne google publisher page ka url daliye

Social - Yoast SEO google plus tab settings bigguidehindi

Settings karne par save changes par click kar dena hai.

Tools – Yoast SEO

Yaha par aap site ki robots.txt, .htaccess file, ko edite kar sakte ho in files me changes kar sakte par in files me koi changes karne se pahile inka backup jarur bana lijiye. taki features me file edite karne se koi problem hoti hai to ham in files ka backup upload karke problem solve kar sake.

Import and export

Yaha par ham other SEO plugins ki settings backup import kar sakte hai. aur Yoast SEO plugin ka data export karke download bhi kar sakte hai.

File editor

Yaha par aap site ki robots.txt, .htaccess file edit kar sakte ho.

Bulk editor

Yaha par aap apne site ka search engine me different title and discripition add kar sakte ho.

Yoast SEO tools settings kaise kare - bigguidehindi

To bas ho gai Yoast SEO plugin ki puri setting ab aapka blog full SEO friendly ban jayega. aur aapki site search engine optimize ho jayegi.

I hope ki aap samaj gaye hoge ki, WordPress site me Yoast SEO plugin setting/setup kaise kare ? wordpress Yoast SEO plugin kyo use kare ?

Agar fir bhi aapko koi steps samaj me nahi aarahi hai to, aap hamse comment karke puch sakte ho. ya aap hame contact bhi kar sakte ho.

Post achi lage to post ko apne dosto ke sath share jarur kariye.

क्या आपको यह पोस्ट अच्छी लगी ?
हां
नहीं
Share this post:
Share
Tweet
+1
Share

Related Post

  1. WordPress Par Free Blog Website Kaise Banaye
  2. Free Webhosting Use Karne Ke Fayde Aur Nuksan Kya Hote Hai
  3. Youtube Channel aur Youtube Videos Me Keywords Use Kaise Kare
  4. WordPress Author URL Slug And Base Kaise Change Kare
  5. WordPress Blog Post Me Table of Contents TOC Kaise Add Kare
  6. About Us Page Kaise Banaye WordPress aur Blogger Ke Liye
  7. WordPress kya hai, wordpress ki puri jankari

About Deepak Singh

Mera naam Deepak Singh hai. Is website par ham Blogging, Seo, Computer, Internet Tips and Tricks and Motivational Stories se releted post share karte hai. yaha se aapko har roj internet technology ke bare me kuch naya aur alag sikhne ko milega

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Search Articles

Follow on Social Media

Likes
Followers
Followers
Followers
Subscribers
Followers
Subscribers
Followers

Latest Posts

  • WordPress Author URL Slug And Base Kaise Change Kare
  • WordPress Blog Post Me Table of Contents TOC Kaise Add Kare
  • Namecheap Se Web Hosting Kaise Kharide Hindi Me
  • Free Webhosting Use Karne Ke Fayde Aur Nuksan Kya Hote Hai
  • Youtube Channel Kaise Banaye Puri Jankari

Categories

  • ADSENSE
  • AFFILIATE MARKETING
  • ANDROID
  • BLOGGER
  • BLOGGING :
  • EMAIL MARKETING
  • INTERNET
  • MAKE MONEY
  • MOTIVATIONAL STORIES
  • SEO
  • SOCIAL MEDIA
  • WORDPRESS
  • WORDPRESS PLUGINS
  • YOUTUBE
SUBSCRIBE KARE

Abhi Subscribe Kijiye Aur Paiye Hamri Sabhi Latest Update Ke Notification Apne Email Enbox Me!





About Me

Mera naam Deepak Singh hai. Is website par ham Blogging, Seo, Computer, Internet Tips and Tricks and Motivational Stories se releted post share karte hai. yaha se aapko har roj internet technology ke bare me kuch naya aur alag sikhne ko milega adhik janne ke liye yaha click kare

Wordpress Related Articles

  • WordPress Kya Hai
  • WordPress Blog Kaise Banaye
  • WordPress Seo Kaise Kare

 

Copyright © 2019 All Rights Reserved. Big Guide Hindi ® | About | Contact | Privacy | Disclaimer | Subscribe | Sitemap